Dhanteras offer · ₹499 ki ebook sirf ₹199 mein
Dhanteras: Shukravar, 6 November 2026

Is Dhanteras, apni Lakshmi Potli khud banayein

Bazaar ki ready potli mein kya hai, pata nahi. Ab poora formula aapke haath mein - samagri, asli-nakli ki pehchaan, banane ki vidhi aur sthapana. Ek baar seekhiye, har saal apne ghar ke liye banaiye.

Ebook Paayein - Sirf ₹199

₹499 ₹199  |  PDF turant email par

1000+parivaron ne pichhle saal potli sthapit ki
25+samagri, ginti ke saath
15page ka step-by-step guide

Khud kyun banayein

Potli ki shakti uski shuddhta aur aapke sankalp mein hai

Ready-made potli ek packet hai. Apne haathon se banayi potli ek sankalp hai - jismein har daana aapne chuna, saaf kiya aur shraddha se rakha.

Bazaar ki ready potli

  • Andar kya hai, kitna purana - pata nahi
  • Nakli Rudraksh aur machine-made gomti chakra aam baat
  • Samagri aksar adhuri, ginti galat
  • Har saal phir kharidni padti hai

Apni banayi potli

  • Har vastu aapki aankhon ke saamne
  • Asli samagri pehchanne ka tareeka ebook mein
  • Paramparik sankhya - 5, 7, 11 - sahi kram mein
  • Ek baar seekho, parivar ke liye har saal banao

Ebook ke andar

Shuru se sthapana tak - kuch bhi chhoota nahi

1
Poori samagri listJadi-bootiyan, Rudraksh, crystal, yantra aur sikka - har vastu ki matra aur uska mahatva.
2
Asli-nakli ki pehchaanRudraksh, gomti chakra, kali haldi, kaudi aur Kuber Yantra - kharidte samay kya dekhein.
3
Shuddhikaran aur taiyariKis vastu ko dhona hai, kise sirf dhoop dikhani hai, aur kis din banana shubh hai.
4
Step-by-step banane ki vidhiSwastik se gaanth tak - kaun si vastu kahan aur kis kram mein.
5
Muhurat 2026Dhanteras aur Diwali ki tareekh, pradosh kaal, aur chhoot jaaye toh kab karein.
6
Sthapana aur jagran vidhiTilak, sankalp, Lakshmi aur Kuber mantra, aur potli kis disha mein rakhein.
7
Saal bhar ke niyamShukravar ki seva, kya na karein, aur agle saal visarjan kaise karein.
8
Teen roopSaral, Vishesh aur Sampoorna potli - budget ke hisaab se chunein.

Samagri ki jhalak

7 Mukhi RudrakshKuber YantraShree Yantra Gomti chakraPeeli kaudiKamalgatta Laal gunjaKali haldiNagkesar Laghu nariyalGreen aventurineLakshmi-Ganesh sikka

Haan, mujhe formula chahiye

Unke anubhav

Pichhle Dhanteras ke baad

“

Ek mahine mein promotion

Akash ne pichhle Dhanteras par vidhi-vidhan se puja karke potli apne locker mein rakhi. Unke anusaar, lagbhag ek mahine baad unhe promotion aur salary hike dono mile.

AKASH

“

12 din mein naukri ka prastaav

Shweta ji ke pati ek anubhavi chef hain, par teen saal se naukri nahi thi aur ghar mein aarthik tangi thi. Potli ki sthapana aur puja ke baad, Shweta ji ne humein bataya ki sirf 12 din mein unke pati ko accha job offer mila, jo unhone sweekar kiya.

SHWETA JI, HYDERABAD

“

Sir ek baat bolu, last year jo PDF aapne di thi na usse maine khud potli banayi thi 😊 Starting mein laga tha mujhse nahi banegi, but mummy ke saath milkar banayi. Sab kuch achhe se samajh aa gaya. Is baar bhi hum khud hi banayenge.

NEHA, JAIPUR

“

Bhaiya humne aapse potli li thi last Diwali. Mere husband ka kaam us waqt thoda slow tha. Ab pehle se kaafi better chal raha hai aur ghar mein bhi sab theek hai. Bas apna experience share kar rahi thi 🙏

SUNITA JI, MEERUT

“

Guruji thank you so much ❤️ Pichli Diwali class mein jo sikhaya tha usse maine apne liye potli banayi thi. Mere liye woh poori process hi bahut special thi. Ab main chahti hu ki apne clients ko bhi properly sikha paun.

DIVYA, MUMBAI

Ye vyaktigat anubhav hain. Har vyakti ki paristhiti alag hoti hai aur parinaam bhi alag ho sakte hain.

Samay kam hai

Samagri jutane mein samay lagta hai - abhi shuru karein

Asli Rudraksh aur samagri dhoondhne mein kuch din lagte hain. Ebook aaj lein, taaki Dhanteras par sab taiyar ho.

--Din
--Ghante
--Minute
--Second
Shukravar, 6 NovDhanteras - potli banayein aur shaam ko pradosh kaal mein sthapit karein. Shukravar aur Dhanteras ek saath - aisa yog kam milta hai.
Ravivar, 8 NovDiwali Lakshmi Puja - Dhanteras chhoot jaaye toh is din sthapana karein.

Kiske liye hai

Ye ebook aapke liye hai agar...

  • Aap is Diwali ghar ya dukaan ke liye Lakshmi Potli sthapit karna chahte hain
  • Aap ready potli par bharosa nahi karte aur khud shuddh samagri chunna chahte hain
  • Aap parivar aur rishtedaaron ke liye bhi potli banana chahte hain
  • Aap jyotish ya vastu seekh rahe hain aur ise apne clients ko batana chahte hain
Ye aapke liye nahi hai agar aap ise jaadu ki chhadi samajhte hain. Potli aastha aur sankalp ka prateek hai - mehnat aur sahi kadam uske saath chalte hain.

Diwali offer

Lakshmi Potli Formula Ebook

Dhanteras tak 60% off
  • 15 page ki sampoorna PDF ebook
  • Poori samagri list matra ke saath
  • Asli samagri pehchanne ka guide
  • Banane aur sthapana ki step-by-step vidhi
  • Dhanteras-Diwali 2026 muhurat
  • Saral, Vishesh, Sampoorna - teen roop
₹499₹199

Abhi Ebook Paayein

Surakshit payment Razorpay se  |  Payment ke turant baad PDF email par

Sawal-jawab

Aksar puchhe jaane wale sawal

Ebook kaise milegi?

Payment hote hi PDF aapke email par aa jaati hai. Mobile, laptop ya print - jaise chahein padhein.

Kya isme samagri bhi milegi?

Nahi, ye ebook hai - samagri aap apne paas ki pooja dukaan ya pansari se lenge. Ebook batati hai kya lena hai, kitna lena hai aur asli kaise pehchanein.

Kya pehli baar karne wale bhi bana sakte hain?

Haan. Har step aasaan Hinglish mein, kram se likha hai. Kisi pandit ya puja ke purane anubhav ki zaroorat nahi.

Agar Dhanteras chhoot jaaye toh?

Diwali Lakshmi Puja par, ya baad mein shukla paksha ke kisi shukravar ko sthapana kar sakte hain. Ebook mein saal bhar ke shubh din diye gaye hain.

Kya isse paise aane ki guarantee hai?

Nahi. Lakshmi Potli Bharatiya parampara mein aastha aur sankalp ka prateek hai. Hum koi aarthik guarantee nahi dete - ebook aapko potli ko sahi aur shuddh vidhi se banana sikhati hai.

Ebook Paayein - ₹199

₹499 ₹199Ebook Paayein